Tuesday, February 10, 2009

Yeh Jo Sarguzashta Se Phirte Hain Kitaabon Wale

Yeh Jo Sarguzashta Se Phirte Hain Kitaabon Wale
In Se Mat Mil Ke Inhein Rog Hein Khaabon Wale
Ab Mah-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali
Aa Chuke Ab to Shab-o-Roz Azaabo Wale
Ab to Shab-o-Shana-O-Khanjar Ki Zubaan Bolte Hain
Ab Kahan Log Mohabbat Ke Nisaabon Wale
Jo Dilon Par Hee Kabhi Naqb Zani Karte Thay
Ab Gharon Tak Woh Chale Aaye Nqaabon Wale
Zinda Rehne Ki Tamanna Ho to Ho Jaate Hain
Fakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Wale
Na Meray Zakhm Khile Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mosam Hee Nahi Aye Gulaabon Wale
Yun To Lagta Hai Ke Kismat Ka Sikandar Hai Faraz !
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Khraabon Wale

Monday, February 9, 2009

Yun Dil Se Kisi Dard Ka Pemaan Nahi Karte

Yun Dil Se Kisi Dard Ka Pemaan Nahi Karte
Ab Jaan Pe Bani Bhi Hai To Darmaan Nahi Karte
Har Yaad Ko Yun Zakhm Banate Nahi Dil Ka
Har Teer Ko Pewast-e-Rag-e-Jaan Nahi Karte
Yeh Masla Ab Ehl-e-Muhabbat Ka Hai Apna
Marte Hain to Kuchh Aap pe Ehsaan Nahi Karte
Khat Layein Na Layein, Hum Nama Baron Ko
Bass Dekhte Rehte Hain Pareshaan Nahi Karte
Aisa Bhi to Rakhte Nahi Khanjar Par Galo Ko
Itna Bhi to Qatal Ko Pashemaan Nahi Karte
Kab Shamyein Jalata Hai Shab-e-Maah Mein Koi
Tu Aye to Ghar Mein Hum Charaghan Nahi Karte
Logon Ko Gumaan Tak Nahi Hota Hai Jinno Ka
Hum Dil Ki Tarah Chaak Girebaan Nahi Karte
Hum Taj Ke Chale Aate Hain Yaaro Dar Jana
Ghalib Ki Tarah Minnat-e-Darbaan Nahi Karte

Yeh Tabiyat Hai to Khud Azaar Ban Jayein Gay Hum

Yeh Tabiyat Hai to Khud Azaar Ban Jayein Gay Hum
Chara Gar royain Gay aur Gham khar Ban jayein Gay Hum
Ham Sar Chak Wafa Hain Aur tera dast-e-Hunr
Jo Bana De Ga Hamain Aye Yaar, Ban Jayein Gay Hum
Kya Khabar Thi Aye Nigar-r-Sher, Tere Ishq Mein
Dilbran-e-Shehr Ke Dildaar Ban Jayein Gay Hum
Sakht Jaan Hai Par Hamare Istwaari Par Na Ja
Aise Tootein Gay K Tera Israar Ban Jayein Gay Hum
Aor Kuchh Din Bethne do Koye Jana Mein Hamain
Rafta Rafta Saya-e-Diwaar Ban Jayein Gay Hum
Es Qadar Asaan Na Ho Gi Har Kisi Se Dosti
Aashnai Mein Tera Myaar Ban Jayein Gay Hum
Meer-o-Ghalib Kya Ban Paye Nahi Faiz-o-Faraaq
Zaem Yeh Tha Roomi-o-Ataar Ban Jayein Gay Hum
Dekhne Mein Shaakh Gul Lagte Hain Lakin Dekhna
Dast-e-gulchein Key Liye Talwaar Ban Jayein Gay Hum
Ham Chiraagon Ko To Taariki Se Ladna Hay Faraz!
Gul Hoye Par Subah Ke Asaar Ban Jayein Gay Hum